Mujh Se Roothi Meri Taqdeer Thi Wo Aaj Bhi Hai
Aah Begana-E-Taseer Thi Wo Aaj Bhi Hai
Aap Ki Chashm-E-Inayat Ke Tasarruf Ki Qasam
Bazm Ki Bazm Jo Dil-Geer Thi Woh Aaj Bhi Hai
Inqilabaat Ki Yurish Hai Ilaahi Tauba
Dil Mein Ek Hasrat-E-Ta’meer Thi Wo Aaj Bhi Hai
Wus’at-E-Khwab-E-Azal Itni Samajh Mein Aayi
Raushni Koshish-E-Ta’beer Thi Wo Aaj Bhi Hai
Is Taghayyur Ke Is Andaz-E-Rihai Ke Nisar
Apne Pairon Mein Jo Zanjeer Thi Wo Aaj Bhi Hai
------------------

No comments:
Post a Comment