Sab Kuchh Hai Apne Des Mein Roti Nahin To Kya
Wada Lapet Lo Jo Langoti Nahin To Kya
Aalim Bade Bade Hain Toh Leader Gali Gali
Barish Hai Afsaron Ki To Daftar Gali Gali
Sher Adeeb Aur Sukhanwar Gali Gali
Suqraat Dar-Ba-Dar Hain Sikandar Gali Gali
Sab Kuchh Hai Apne Des Mein Roti Nahin To Kya
Wada Lapet Lo Jo Langoti Nahin To Kya
Hakim Hain Aise Desh Ka Qanoon Tod Den
Rishwat Mile Toh Qatl Ke Mujrim Bhi Chhod Den
Nigran Jo Mulziman Ki Aankhen Bhi Phod Den
Surgeon Hain Aise Pet Mein Auzar Chhod Den
Sab Kuchh Hai Apne Des Mein Roti Nahin To Kya
Wada Lapet Lo Jo Langoti Nahin To Kya
Har Qism Ki Jadeed Imarat Hamare Paas
Har Ek Parda-Dar-E-Tijarat Hamare Paas
Apnon Ko Lutne Ki Jasarat Hamare Paas
Khelon Mein Haarne Ki Mahaarat Hamare Paas
Sab Kuchh Hai Apne Des Mein Roti Nahin To Kya
Wada Lapet Lo Jo Langoti Nahin To Kya
Har Kaam Chal Raha Hai Yahan Par Bayan Se
Sarkar Ke Sutoon To Rahte Hain Shan Se
Qarza To Mil Raha Hai Hamein Har Dukan Se
Khairaat Aa Rahi Hai Badi Aan-Ban Se
Sab Kuchh Hai Apne Des Mein Roti Nahin To Kya
Wada Lapet Lo Jo Langoti Nahin To Kya
Ye Noor Ka Nahin To Siyahi Ka Toor Hai
Har Jhoot Har Gunah Ka Hum Ko Shu’oor Hai
Duniya Ke Aur Deson Ko Dhan Par Ghuroor Hai
Fann-E-Gadagari Pe Hamein Bhi Uboor Hai
Sab Kuchh Hai Apne Des Mein Roti Nahin To Kya
Wada Lapet Lo Jo Langoti Nahin To Kya
Janta Se Kah Do Shor Machana Fuzool Hai
Takleef Ka Bayan Sunana Fuzool Hai
Shahaan-E-Qaum Ko To Satana Fuzool Hai
Sote Hain Sukh Ki Neend Jagana Fuzool Hai
Sab Kuchh Hai Apne Des Mein Roti Nahin To Kya
Wada Lapet Lo Jo Langoti Nahin To Kya
---------

No comments:
Post a Comment