THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Zafar - Ham Ne Duniyaa Men Aa Ke Kyaa Dekhaa
zafar


Ham Ne Duniyaa Men Aa Ke Kyaa Dekhaa
Dekhaa Jo Kuchh So Khvaab-Saa Dekhaa

Hai To Insaan Khaak Kaa Putlaa
Lek Paani Ka Bul-Bulaa Dekhaa

Khoob Dekhaa Jahaan Ke Khoobaan Ko
Ek Tujh Saa Na Doosraa Dekhaa

Ek Dam Par Havaa Na Baandh Habaab
Dam Ko Dam Bhar Men Yaan Havaa Dekhaa

Na Huye Teri Khaak-E-Paa Ham Ne
Khaak Men Aap Ko Milaa Dekhaa

Ab Na Deeje "Zafar" Kisi Ko Dil
Ki Jise Dekhaa Bevafaa Dekhaa

---------------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib